Sunday, September 2, 2012

Rozgaar ke silsile mein main apna ghar chhod aaya tha


Rozgaar ke silsile mein main apna ghar chhod aaya tha
waqt milta hai to kabhi kabhi jata hoon wahan.


Kuch pal ke liye hi sahi, milta hoon wahan zinadagi se
wo jo aaj waqt ke thaperon se sikud si gayi hai.



aankhen, kaan sab jawaab de gaye hain...
main apni purani kahanaiyan yaad dilata hoon usko
per jayada sunti nahin wo, bas poochti hai

khush ho shehar mein? main na chahate huye bhi
sar hila deta hoon.

wo kuch aur baat suru karti hai, ki ab maut ka intzaar hai..
main kehta hoon ki tum mujhse jayada khusnasib ho

marogi to apno mein.. bas isse jayada aur baatein
main jhel nahin pata, aur chal padta hoon sheher ki aur...

Saturday, September 1, 2012

Kabhi Un ka Naam Lena

Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna

Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna


Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana

Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna

Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna

Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna

Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI,YEHI RASTA HY APNA ...!!!

Zindagi Se Nibaah Kartay Rahay

Zindagi Se Nibaah Kartay Rahay
Shair Kehtay Rahay, Sulagtay Rahay

Tera Aana Tou Khwaab Tha Laikin
Hum Charaaghon Ke Saath Jaltay Rahay

Kia Batayein Ke Ab Ke Saawan Mein
Hum Tujhe Kitna Yaad Kartay Rahay

Sheher Waalo ! Hawa Ki Basti Mein

Phool, Khushbo, Charaagh Kaisay Rahay ?

Tum Ne Jugnu Se Dosti Karli
Hum Sitaaray Talaash Kartay Rahay

Wasal Jin Ko Naseeb Ho Na Sakaa
Hijr Ki Daastan Likhtay Rahay

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi - Wasi Shah-

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa ?
Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi

Bhulaye Kon Azyat Pasandiyan Uski
Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi


Ajeeb Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot’tay Pat’tay Talaash Karti Thi

Qayaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi

Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi

Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hee Pyaaray Talaash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijr Ke Harbe Talaash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi

Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne ”Wasi”
Wo Laut Aanay Ke Raastay Talaash Karti Thi

Wasi Shah

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai - Parveen SHakir

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai
Apne Malbay Pe Kon Sota Hai ????????

Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai
Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai

Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha
Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai


Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per
Kon Ye Haar Sa Pirota Hai

Raat Ke Bekaraan Andheray Mein
Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai

Parveen SHakir

Daagh Dehlvi - Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar Hota
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota

Na Mazaa Hai Dushmani Main Na Hai Lutf Dosti Main
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota

Ye Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti
Na Tumhen Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota


Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota

Chup Na Rehtay Bayaan Ho Jaatay

Chup Na Rehtay Bayaan Ho Jaatay
Tujh Se Gar Badgumaan Ho Jaatay

Zabt-e-Gham Ne Bachaa Lia Warna
Hum Koi Daastaan Ho Jaatay

TU Ne Dekha Nahee Palat Ke Hamain
Warna Hum Meherbaan Ho Jaatay

Tere Qissay Mein Hum Bhala Khud Se

Kis Lye Badgumaan Ho Jaatay

Tere Dil Ki Zameen Hee Na Mili
Warna Hum Aasmaan Ho Jaatay