Sunday, September 2, 2012

Rozgaar ke silsile mein main apna ghar chhod aaya tha


Rozgaar ke silsile mein main apna ghar chhod aaya tha
waqt milta hai to kabhi kabhi jata hoon wahan.


Kuch pal ke liye hi sahi, milta hoon wahan zinadagi se
wo jo aaj waqt ke thaperon se sikud si gayi hai.



aankhen, kaan sab jawaab de gaye hain...
main apni purani kahanaiyan yaad dilata hoon usko
per jayada sunti nahin wo, bas poochti hai

khush ho shehar mein? main na chahate huye bhi
sar hila deta hoon.

wo kuch aur baat suru karti hai, ki ab maut ka intzaar hai..
main kehta hoon ki tum mujhse jayada khusnasib ho

marogi to apno mein.. bas isse jayada aur baatein
main jhel nahin pata, aur chal padta hoon sheher ki aur...

No comments:

Post a Comment